Wednesday

Yaad Tumhari Aati Hai

Ankho me kyon badal ban kar yad tumhari aati hai,


Dil ke falak par jaise koi barak is lahra jati hai !
Jakhm Hara kar jati hai e bade saba kyon sawan ki,


Dard badha kar mere dil ka ghata eh kyon muskati hai !
Kabhi eh moti ankhon wale,Jalan jigar ki kabhi-kabhi,


Aahen man ki, kyon ruk-ruk kar tumko roj bulati hai !
Kabhi dhoop ban shaya ban fir ek oh bholi is ladki,


Larjees si yun mere zigar me dhadkan kyon badh jati hai !
Ankhe hai Aahu si jiski chal morni jaisi hai,


Mere man par gam ke badal oh kitna eetarati hai !
Tujhe mubarak teri khusiyan mai to jee hi leta Hun,


Tere sang jine ki khwahis meri umra badhati hai !
Gar na raha kal iss duniya me aansu ban kar aaunga, 


Door se tujhko dekhunga e man ki lagan batati hai !
Tu apni mahfil me khush hai mere gam ka raj yahan,


Koee kare na pyar kabhi, Harjayee bahut  rulati hai !
Ankho me kyon badal ban kar yad tumhari Aati hai,


Dil ke falak par jaise koi barak is lahra jati hai !!

No comments:

Post a Comment